Gumnamiyon ki galiyon main bhatak raha hoon..
Ae' Raj bata tera thikana kahan hai..!!

Gardishon main hai mere sitare...
Ae' Raj, bata tera fasana kya hai..!!

Khoob dhoonda manjar jo tera,
Suni sargoshiyan hamaon ki..
Tanhai main baitha hoon...Ae' Raj, bata mera majasma kahan hai...!!

Likhta hoon bahut, kabhi syahi se, kabhi apne khoon ke katron ko karta hoon istemal..

Yaad aata hai mujhe wo manjar jab mere desh ki dharti hui thi khoon se laal...

Dar lagta hai mujhe wo manjar yaad karke...

Khuda khair kare, mere desh ko, desh ki mitti ko, desh ki awam ko gaddaron ke jakham phir ne jhelne paden..

Bita hua kal..aaj na dohrana...Kitna bhi ho saath milkar chalna..

Jinhone di hamare desh ko majloomiyat...unhain mere Raj, jaroor sabak sikhana...!!

Teri ada, tera dil se chahna...yaad aati hai mujhe meri maa ki baat

Kabhi kisi baat ka na bura manna, bus khush rahna aur dil se sab ko lagana…!!!