Yeh Rangmanch par Rango ka bhed Bhav,
Yeh Insaano mein kahan se aya aapsi tanav?
Kyun hai yeh Jaati aur Rango mein batane ka dabav?
Kyun hum na uthte isse upar aur badlein apna Swabhav?

Baat gya hai Insaan kahin hisso mein,
Ladh rha hai Rang ki jaang kahin kisso mein,
Kaun tey karta hai yeh Niyam rishto mein?
Bikhar rha hai sab kabse halki kishto mein.

Soch bani aisi hai Duniya mein kharab,
Kuch bolne se pehle sochta ab yun lekar therav,
Jaati Rang Bhed ka hum ke Dil par hai gehra ghav,
Badle yeh Sahi disha mein sabke liye andruni bhav.

Kahin Saal se chal rhi nafrat ki jung andar hi andar,
Kahin tutt rhe Babri Masjid aur kahin Ram Mandir,
Yeh Samjhana abhi bahut zaruri varna ayega Khoon ka bhavandar,
Na Bachega Hindu ,na Muslim aur hoga bas tabhai ka samundar.

Umeed ki kiran liye ab khaade honge yeh yuva,
Nikale bahar us nafrat se jiska bahut gehra yeh kunwa,
Saath khada hoga Insaan ab Insaniyat se saath mitaye Jung ka dhua,
Yeh Ram bhi yahin, Yeh Allah bhi, Mandir bhi,Masjid bhi, aisa soche sab bas karo yeh dua.