Kitne hai Ehsaas?
Har ehsaas hai kuch khaas,
Sab liye apne apne raaz,
Hum aaj bhi karein uski matlab ki talaash.

Aaj mann bahut khush hai,
Dil ke tarazun mein bhaari aaj sukh hai,
Ab humare mann ka hassi ki taraf rukh hai,
Yeh is waqt ka apna raaz apna hi raaz hai.

Kitne hai Ehsaas?
Har ehsaas hai kuch khaas,
Sab liye apne apne raaz,
Hum aaj bhi karein uski matlab ki talaash.

Kyun aaj mann na khush hai?
Kiss baat ka mann mein dukh hai?
Aaj kiss taraf dil ka rukh hai?
Yeh dukh hai aur yeh aaj ka ehsaas hai.

Kitne hai Ehsaas?
Har ehsaas hai kuch khaas,
Sab liye apne apne raaz,
Hum aaj bhi karein uski matlab ki talaash.

Ehsaas ek kahani batata,
Sukh Dukh ki zubani kehlata.

Yeh aaj mann ko kya hua?
Krodh mein mann aaj vanchit hua,
Mathe ki shikhand liye aaj dil sankochit hua,
Yeh aaj ka ehsaas bahut mann-mohit hua.

Kitne hai Ehsaas?
Har ehsaas hai kuch khaas,
Sab liye apne apne raaz,
Hum aaj bhi karein uski matlab ki talaash.

Sawaal hai aaj bahut saare,
Vichar mein aaj bahut tanav bhaare,
Aaj kuch faisla lene mein dil yeh haare,
Aaj ke ehsaas naam humein dhuvida mein daale.

Kitne hai Ehsaas?
Har ehsaas hai kuch khaas,
Sab liye apne apne raaz,
Hum aaj bhi karein uski matlab ki talaash.

Ehsaas kahin saare mann batata
Sawaal kahin hai jawaab ek na dilata,
Mann apne aap ko kahin chehre dikhata,
Kaun kab kaisa ehsaas hoga ab yeh toh Dil hi jaanta.