Yeh Insaan kyun in paristhitiyon ka manaye Afsos,
Yeh Jeewan Maran ismein kya kiska dosh,
Shareer Jaala hua kal ka Insaan Khamosh
Us pal mein kya mil gya Aatma ko Moksha?

Ek ghar mein Janma ek dulara,
Ma Baap ne apnaya kaha humara,
Shuru hua kisa Aatma ka dobara,
In sab mein bacha kyun ghabra-raha?

Badha hua,bandha jeewan ki bediyon mein,
Banwakar aya vo apne karmo ka hisab apni haatheliyon mein,
Uljha Maanojeewan, fassa rha paheliyon mein,
Badh rha aage ya phir ab ise dhakeliyon main?
Naukri, Biwi Bacha sab mein beeta jiwan iska,
Yeh Jiwan par Sawaal tu hai kiska,
Bahane bana, adha jeewan toh yun hi khiska,
Yeh Jiwan tera, Aatma ke tarazu mein kodiyon ke daam bikta?

Umar hui ab 50 ke paar,
Padha bistar par, ab yaad aye sab yaar,
Jiwan beet gya apne se pehle baatte sabko pyaar,
Ab latka hua ulta Jiwan Maran ki Talwar?

Aa gya waqt ab jaane ka, Saansein hui behosh,
Jiwan bhar sochta rha ab kisko dega dosh,
Shareer Jal rha hai uska,hua vo khamosh,
Ab kahin jakar milega Us Aatma ko Moksha.