Kya banna chahoge tum?
Kaamyab ya Kaabil mein se kisko chun?
Khush rehna zaruri ya paise ke jungle mein ghoom?
Chehre hazaar ya Sach ki aawaz sun.

Haasil kar sab ya jo hai ussse milte rahaat?
Insaan banna zaruri ya Hewaniyat ki Chahat?
Jurm ke bistar par sona ya Sukoon ki leni karwaahat?
Jo chal rha hai chalne de ya kar tu bagawat.

Chahiye tjhe Pakwaan ya do roti ki khushi?
Chahiye Sansaar saara ya tu apne ghar mein sukhi?
Mann mein sab thik ya Dikhawat se ho rha dukhi?
Soch ko badal aur badlav se ho tu raazi.

Yeh Sansaar ki chaal kapaat mein sab fasse ja rhe,
Yeh Sansaar ki kamchori mein sab bin matlab thake ja rhe,
Yeh Sansaar ke boje taale sab jhoothe aansun baha rhe,
Yeh Sansaar ke Jurm ko jaane ya anjaane sab bada rhe.

Soch aur Sach ko apnana hai bahut zaruri,
Tabhi Yeh sach mein khush rehne ki umeed hogi puri,
Kaam kuch aisa kar jisse na reh jaaye Aawaz yeh adhuri,
Sar utha kar chal ab kar de dur yeh Sankoch ki kamzori.