Haalat!
Kyun,kiski,kaise badaalte yeh haalat,
Shikayat,Takleefe,Sawaal dete yeh haalat,
Kab Badlenge yeh haalat?

kaise hai yeh uske haalat,
Bante Bighadte yeh haalat,
Bas Mann mein hai yeh sawaal,
Musibaaton se dabbe hue yeh haalat,

Yeh haalat mein kya kya na karti,
Ghar ja jakar logo ke ghar kam karti,
Apna pet katkar,apne aulad ke pet bharti,
Apne bachon ki aankhon mein khushiyon ko tarasti,
Darti,girti par Haalat se hi sambhalti,
Sawaal tjhse kiski hai yeh galti?
Yeh baat hai kal-ki,
Haath tutte par phir bhi datt kar chalti,
Umar thi kam, hoslon se halki,
dekh tv par ek show hassi jhalki,
Sawaal yeh kis haalat mein vo palti?


kaise hai yeh uske haalat,
Bante Bighadte yeh haalat,
Bas Mann mein hai yeh sawaal,
Musibaaton se dabbe hue yeh haalat,

Pehne hue yeh kapde purane,
Sajhe hue sapne suhane,
Na dokha na hi koi bahane,
Duniya hai buri, deti rehti usko tanne,
Mann se pyasi, jazbaat ke mehkhaane,
Tu hi bata kyunki tu jaane,
Sawaal yeh hai bas ki kyun na tu usko sambhale?

Paise hai kam, Pyar hai bahut Nek iraade,
Dil mein dard, Aankhon mein vaade,
Do roti uski, do lawaz vo bhi sadhe,
Dua hai mann se, de de khushiyan ab uske khaate,
Karle uske bache bhi bachpan ki sharaatte,
Jhoom kar diwali holi par vo bhi naache,
Musibat se haat paare, Hassi ko saanche,
Unko bhi de rha jo insaan ki naam dhanche,
Chadne de unko bhi sukoon ke tange,
Rihaa kar ab unko bhi is dard ke faande,
Ae hai agar tu, Maangta hun tjhse yeh bas ab waqt hai unko ghum se rihaa-de.

kaise hai yeh uske haalat,
Bante Bighadte yeh haalat,
Bas Mann mein hai yeh sawaal,
Musibaaton se dabbe hue yeh haalat.