Badh chal aage, ek haath thaame,
Badh chal aage, yeh tera dil maange,
Badh chal aage, Muzbutiyon ke boh yeh dhaage,
Badh chal aage, Jazbaaton ki Roshni mein yeh Rooh jaage,
Tu badh chal aage, umeed teri yeh waqt se tez bhaage.

Raasta bana tera tere kadmo ki chaanp se,
Ubhar tu Upar, yeh jaise Aag se udhti bhaanp,
Manzilon ko teh kar tu, ab kyun rhi tu kaanp,
Yeh Haasil tjhse hoga, Is mantra ka hai bas jaanp.

Mehnat kari tune pathron par sar maar maar kar,
Gir kar khadi hui, jeet ab itni baar haar haar kar,
Itni Dhoop mein kar tu Itni si chawon swikar,
Badh aage ,chal Koylon par Shareer ko bana Lohe ki talwar.

Teri har Kamna hogi puri rakh bharosa tu,
Yeh waqt nahi ab, ki de tu apne sapno ko dokha,
Yeh Sapna hi hai jo teri palko par sukoon ki neend jhokta,
Mashal jaisi teri jab Udaan hogi, phir toh khuda Allah Bhagwan bhi na Rokta.

Badh chal aage, ek haath thaame,
Badh chal aage, yeh tera dil maange,
Badh chal aage, Muzbutiyon ke boh yeh dhaage,
Badh chal aage, Jazbaaton ki Roshni mein yeh Rooh jaage,
Tu badh chal aage, umeed teri yeh waqt se tez bhaage.