Baitha tha vo ek soch mein,
Pucha maine; Kyun ho khamosh se?
Kehta vo Aaj ek ehsaas hua aisa,
Jab waqt tha, lia ek galat faisla.
Pucha maine; Kya hua tha aisa?
Kehta vo, mauka tha kuch karne ka vaisa,
"Manzil thi pass, Maukam tha samne' jaisa.
Pucha Maine; Kyun nahi kia vaisa?
kehta vo, Logo ne kaha 'hasegi dunia aage,
kyun dete ho khud ko jhoothi tasile aur vaade"
Darr gya main, aage na badh saka main,kaha usne
Pucha maine; Kaun the vo log jisne kaha tumse?
kehta vo, The bas log, kaun the kaise puchun khudse?
Bas hun us soch mein tabse
khud ki sun toh lun abse.
Pucha Maine; kaise ladoge sabse?
kehta vo, himmat,bhaorsa aur jazbee se.
Dekha maine usko aur kaha khudse
"Tab iski aur dekha hota tune jamke
Faisla hi de deta yeh Aaina haske"