Jarurat thi unko ek bete ki, wrna maa-baap ko apni har ek aulaad pyari thi.
Aulaad ka pet palne k liye usne apni khoon paseene ki kamai lgai thi.
Samaz m auraat ko saman ijazat ka dawa dene wale logo ne,
Sahi mayno mein ladki ki awaaz dabai thi.
Kehne ko to 9 raatano mein se ek raatan putr hota h.
Fr kyun! sarkar ne sirf "beti bachao beti pdhao yojna" bnai thi.
21sadi mein fark nhi krte tum beta aur beti mein!!
Fr kyun! abtk sirf ek bete ne hi apne maa-baap ki chita jalai.
Ling jaanch ko gerkanooni bnana hi tha, to kyun hindu rivajo ne ek bete ki chahat jagai thi?
Kyu bete k hath se aagni dene pe hi maa-baap ki aatma ko moksh milega?
Bete ki khwahish rkhne wale maa-baap ki umeedon ki tumne chita jalai thi,
21 sadi tk to sirf tumne ladkiyon k liye hi awaazein uthai thi.
Kya galti un maa baap ki h jinhone moksh k liye ek putr ki chah rkhli, desh ki abadi to aise hi kisi se nhi sambhl rhi.
Zara sochkr dkhna ek bar "kyun sirf beti k liye itne kanoon bnaye h", kyun ling jaanch ko gerkanooni bnaya h.
Desh k us raja ne kyun apni praja ki khushiya mitai thi!
Ling janch krne wale doctoron ko gerkaanoni kaam btakr jail ki haway khilai thi,
Arey mujhe zara ye to smjhao!! desh k nabalikon ne kyu daaru,sutte ki adat lgai thi!
Gerkanooni hokr b ganja,sutta har college k bhar asaani se milta h,
Arey bhyii! fr kyun sirf doctor ko bhagwan bnakr tumne uski hi lanka jalai thi??
Tumhe aagr krna tha ling jaanch gerkanooni, toh kyu hindu rivajo ko itni manyta de dali.
Ek ghar m ek bete ki jrurt to sbko h, arey bhyii maut k bd moksh ka haq b sbko h.
Sach kahu to dosto shi mayno mein aise ladkiyon ki awaaz h dabai.
Warna kyun aj b shaadi k bad ladki ka sasural mein rhna deta h khusi aur khatakta h sbko ghar jamai.
Tum baat krte ho saman adhikar ki!!
Arey bhaiya kbhi toh ladki ko b haq do tum murdaghar jane ki.
Itne gambhir mudde pe kyu abtk kisi ne awaaz nhi uthai?