Jiski bebaaki pr tum fida the, use dar lgta h ab logo se;
Jante ho! kuch aisa aasr hua h tumhare chle jaane se.
Dar h kisi ka fr ho jane se, kisik sath waqt bitane se, fr dil lagana se,
bs nfrt h ab pyar k izhaar se;
Kuch yu hua dobara ishq mein dhoka khane se.
Aj b har pal nazrein h meri darwaje pe, na jane kiski raah takti h ye nigaahein meri,
Na ummed h ya chaht h ab tere waps aajne ki,
Jo tumne kha aur jo smjha bs whi baatein gunjti h ab kaano mein mere,
Kaash tum smjh paate kitni taqleef mein thi m tumhre chle jane se.
Asaan nhi tha mere liye,
Fr kisika hath thamna, usk sath chlna ya zindagi bitane k sapne bunna,
Kyunki ek dar tha mujhe zindagi mein fr mohbbat mein dhoka khane se.
Ab koi hath thamta b h toh chuda k bhaag jati hu,
Koi sath dene k waade krta b h toh muskurate hue waha se chle jati hu,
Kuch yu sanjoya h maine apni wafa ko, koi pyaar se dkhta b h to palke jhuka leti hu,
Tum fr dil lgane ki baat krte ho, m to tere hisse ka waqt b kisi ko nhi de paati hu.
Kya btau tumhe! ab koi jbrdsti b hath pkdne ki kosis krta h toh m apna hath nhi khol paati hu,
Kuch aisa aasr hua h tere jane se.
Ab himmat nhi fr kisi pr bharosa krlu, kisi se apne dil ki do baatein krlu, ya yu khu ki fr kisi k sath do kadam chl lu;
Bhot taqleef hui h mujhe sirf ek tere dhoke se,
Ab dar h mujhe fr kisi apne ka mujhe past ko lkr judge krne se,
Arey! m nhi chahti ab fr kisiko bina mann k kuch btana,
Irritation hoti h mujhe kisiko kareeb paane se,
Nahi chahti ab kurbaan krna neendein kisik liye,
Nahi jana mujhe bimar hote hue kisi se milne,
Nahi chahiye ab koi khyal rkhne k liye, na rkhna chahti hu ab kisika khyal,
Nhi umeed kisi se meri khushiyon ki,khush hu ab m tere diye har sadme se,
JAANA kuch aisa aasr hua tumhre chle jane se.