Mere Kajal se sasta tha tezab tera,
Shringar nhi tha jo saza dia usse chehra mera.
Wo kehne ko to mohabbat mein pagal tha meri,
Ye konsi mohabbat thi jo ek naa ne bikher dia jeevan mera.
Tu to kal b khush tha aur aj b khush hai,
Bta fr jalakr mujhe hogya ego satisfied tera??
Bhagwan na kre aisa kbhi teri behan k sath ho,
Kyunki shyad tu tb b nhi smjhega dard mera.
Chehra dkh kar bacche dar jate h or log muh fer lete h,
Bol!! Kya ab dega tu sath mera?
“Mar jati to acha hota” kehte h log
Janna chahti hu, kya ab nhi zindagi jeena haq mera.
Zaroorat thi thode pyaar aur support ki mujhe,
Jaha zaroorat thi thode se pyaar aur support ki mujhe,
Waha muh fer leta h ye padha-likha samaz mera.
Insaaf k liye kanoon se ladti hu,
Nhi lauta skta wo b logo se utha iman mera.
Case file sirf raddi bankar reh jati h,
Kyun nhi deta koi sath mera?
Sirf chehra khoobsurat hona hi pehchan h to
“dil acha hona chahiye” kon deta ye sare gyaan bhala.
Kabiliyat hote hue bhi khi naukari nhi milti,
Kya fayda hua itne padhne ka mera.
Jeene k liye ab saanson se jyda paiso ki jrurt h,
Bta fr!! Kya ab sath dega tu mera?
Ek nayi Pehchaan banani h fr is naye chehre k sath,
Krlu aj b kitni kosishe nhi apnata samaz ye tera.
Bakiyo ki trh bindi, lipstick ka shauk nhi,
Vinti krti hu kuch to karo jo laut aaye chehra mera.
Kyun sirf mujhe hi sehan krni pd rhi h sbki nafrat,
Wo hewaan b to khushi se h ghum rha.
Sach jante hue b kyu nhi koi use saza h de rha,
Chehra khrab na hogya, jaise ye sb kuch hi le gya mera.
Btao zara, mujhe kyu nhi apnata samaz mera
Kyun mere Kajal se b sasta h tezab ye tera.