Sadko par chalte hue ek khayal aya,
Paison ne mjhe tjhe aur kiss kiss ko na sataya,
Andar dil mein phir bhi sakoon na paya,
Itna paisa phir bhi usse pet na bharaya,
Ab tu soch tu insaan ya paison mein chipha ik saaya,
Us aur chal chala main, dekha us bache ko na mil rhi chaaya,
Aaj bhi mann mein sawaal kya us din usne khanna khaya?
Insaan itna gir gya ab, paise se hi sab moh sab maya,
Par aaj bhi tu sampoorn na ho paaya.

Hai Dil mein dard chipaye, kaun kisko ko bataye,
Paison ki barsaat mein, ab insaan hi doobta jaaye,
Par tu soch itna paisa lekar tu kidhar ko jaaye,
Oh haaye Yeh paisa mjhe tjhe hum sabko tarsaaye.

Subha uthkar, tyaar hum chalein,
Khushi? na, vyaapar ki aur badhe,
Un daar daar ki thokar se mann yeh sadhe,
Par Paise itna pyaara, bas badhte hi chale,
Bhale, Yeh zameen ke taale,Insaan yun jaale,
Lekin Paison ki pahad ke neeche hum yu daabe,
Ab sakoon itna isse, ki khushiyan ki muskaan yeh dhaale.

Hai Dil mein dard chipaye, kaun kisko ko bataye,
Paison ki barsaat mein, ab insaan hi doobta jaaye,
Par tu soch itna paisa lekar tu kidhar ko jaaye,
Oh haaye Yeh paisa mjhe tjhe hum sabko tarsaaye.

kahin toh insaan sadko pe so rha,
Apni musibaaton ko waqt ke tarazu mein dho rha,
Kahin tu manzilon mein apni manzil kho rha,
Sapne dekh ,tu aaj bhi so rha,
Kahin toh ghar paison se bhara,
Kahin insaan ko khana bhi bahut zaara,
Kahin toh insaan bhagwan se bhi na daara,
Kahin toh bas khaane ko bas haara,
Yeh paisa kar dega humein tabha.

Chalte hue ek din dekha maine,
Sadak kinare khel rhi do behene,
Aankhon mein masti,kapde purane pehene,
Pata nahi tha usne kitne ghum sehene,
Chala main us aur usko kuch kehene,
Pata chala dhund rhi thi ghar jisme vo reh-le,
Ankhon mein ansun, par lawazon se na kehene,
Kaha maine unko yeh Hassi hi hai tumhare gehne,
Darre na vo,hosla rakhe, Mazbuti ko bas iss tarah hi pehene.

Hai Dil mein dard chipaye, kaun kisko ko bataye,
Paison ki barsaat mein, ab insaan hi doobta jaaye,
Par tu soch itna paisa lekar tu kidhar ko jaaye,
Oh haaye Yeh paisa mjhe tjhe hum sabko tarsaaye.

Do roti ki zarurat, Do bund paani ki zarurat,
Maine toh maana, yeh hai kabul ab,
Jab, paisa utna hoga tab,
Khushiyo ko baate, jhoom uthe sab,
Yaar paisa na tumhara, na hi tumhara rab,
Yeh insaan sikhega kab,
Dusron ki liye khada hoga insaan, bolega kuch lab,
Tu thaan le, kam karni paison ki talab,
Jahan tu dekha kisi bhi taraf,
Khushiyan hi ho bas har taraf.

Hai Dil mein dard chipaye, kaun kisko ko bataye,
Paison ki barsaat mein, ab insaan hi doobta jaaye,
Par tu soch itna paisa lekar tu kidhar ko jaaye,
Oh haaye Yeh paisa mjhe tjhe hum sabko tarsaaye.