Shikwaa Poem Rhyme Scheme and Analysis

Rhyme Scheme: AAAA BB CCCC D DCCAC EE FFFF FF GGGG EE AAAA EE HHHH EE IIII EE EEEE BB JJJJ II KKKK JJ FFFF EE EEEE GG EEEE FF HHHH GG FFFF GG LLLL GG HHHH GG HHHH FF GGGG EE EEEE EE GGGG GG EEEE GG GGGG HH IIII EE KKKK HH EEEE CC EEEE BB EEEE BB EEEE

Kyun Ziyaankar Banu Sood Faramosh RahoonA
Fikr e Farda Na Karoon Mehw e Gham e Dosh RahoonA
Naal e Bulbul Ke Sunoon Aur Hamatan Gosh RahoonA
Hamnawa Main Bhi Koi Gul Hoon Ke Khamosh RahoonA
-
Jurr'at Aamoz Meri Taab e Sukhan Hai MujhkoB
Shikwa Allah Se Khakam Badhan Hai MujhkoB
-
Hai Baja Shewa e Tasleem Mein Mash'hoor Hain HumC
Qissa e Dard Sunaate Hain Ke Majboor Hain HumC
Saaz Khaamosh Hain Fariyaad Se Maamoor Hain HumC
Nala Aata Hai Agar Lab Pe Tho Ma'zoor Hain HumC
-
Aye Khuda Shikwa e Arbaab e Wafa Bhi SunleD
-
Khugar e Hamd Se Thoda Sa Gila Bhi SunleD
Thi Tho Maujood Azal Se Hi Teri Zaat e QadeemC
Phool Tha Zaib e Chaman Par Na Pareshaan Thi ShameemC
Shart Insaaf Hai Aye Saahib e Althaaf e AmeenA
Boo e Gul Phailti Kis Tarha Jo Hoti Na NaseemC
-
Hamko Jamee'at e Khatir Ye Pareshaani ThiE
Warna Ummat Tere Mehboob saw Ki Diwaani ThiE
-
Hum Se Pehlay Tha Ajab Tere Jahan Ka ManzarF
Kaheen Masjood The Patthar Kaheen Ma'bood ShajarF
Khogar e Paikar e Mehsoos Thi Insaan Ki NazarF
Maanta Phir Koi Un Dekhe Khuda Ko Kyun KarF
-
Tujh Ko Maloom Hai Leta Tha Koi Naam TeraF
Quwwat e Baazo e Muslim Nai Kiya Kaam TeraF
-
Bas Rahe The Yaheen Saljooq Bhi Toorani BhiG
Ahl e Cheen Cheen Mein Iran Mein Sasani BhiG
Isi Ma'moor Mein Aabaad The Yunaani BhiG
Isi Dunya Mein Yahoodi Bhi The Nasrani BhiG
-
Par Tere Naam Pe Talwaar Uthaii Kiss NeE
Baat Jo Bigdi Huwi Thi Wo Banaii Kiss NeE
-
The Hameen Ek Tere Ma'ar Ke Aaraoon MeinA
Khushkiyon Mein Kabhi Ladte Kabhi Daryaaon MeinA
Di Azaanein Kabhi Europe Ke Kaleesawon MeinA
Kabhi Africa Ke Tapte Huwe Sehrawon MeinA
-
Shaan Aankhon Mein Na Jajti Thi Jahaandaaron KiE
Kalma Padhte The Hum Chaaun Mein Talwaaron KiE
-
Ham Jo Jeete The Tho Jangon Ki Museebat Ke LiyeH
Aur Marte The Tere Naam Ki Azmath Ke LiyeH
Thi Na Kuch Taigh Zani Apni Hukoomat Ke LiyeH
Sarbakaf Phirte The KyaDeher Mein Daulat Ke LiyeH
-
-
Qaum Apni Jo Zar o Maal e Jahaan Par MartiE
Buth Faroshi Ke Iwaz Buth Shikani Kyun KartiE
-
Tal Na Sakte The Agar Jung Mein Ad Jaate TheI
Paaun Sheron Ke bhi Maindaan Se Ukhad Jaate TheI
Tujh Se Sarkash Huwa Koi Tho Bigad Jaate TheI
Taigh Kya Cheez Hai Hum Toup Se Ladh Jaate TheI
-
-
Naqsh Tauheed Ka Har Dil Pe Bithaaya Hum NeE
Zer e Khanjar Bhi Ye Paighaam Sunaaya Hum NeE
-
Tuhi Kehde Ke Ukhaada Dar e Khaibar KisneE
Sheher Qaisar Ka Jo Tha Usko Kiya Sar KisneE
Todey Makhlooq e Khudawand Ke Paikar KisneE
Kaat Kar Rakh Diye Kuffaar Ke LAshkar KisneE
-
-
Kisne Thanda Kiya Aatishkada e Iraan KoB
Kisne Phir Zinda Kiya Tazkira e Yazdaan KoB
-
Kaunsi Qaum Faqat Teri Talabgaar HuwiJ
Aur Tere Liye Zehmatkash e Paikaar HuwiJ
Kiski Shamsheer Jahangeer e Jahandaar HuwiJ
Kiski Takbeer Se Duniya Teri Bedaar HuwiJ
-
-
Kiski Haibat Se Sanam Sehme Huwe Rehte TheI
Muh Ke Bal Girke 'Huwallahu Ahad' Kehte TheI
-
-
Agaya 'Ain Ladaai Mein Agar Waqt e NamazK
Qibla Roo Hoke Zameen Bose Huwi Qaum e HijaazK
Ek Hi Saff Mein Khade Hogaya Mehmood o AyaazK
Na Koi Banda Raha Aur Na Koi Banda NawaazK
-
-
Banda o Sahab o Mohtaaj o Ghani Ek HuweJ
Tere Sarkaar Mein Pahunche Tho Sabhi Ek HuweJ
-
Mehfil e Kaun o Makaan Mein Sahar o Shaam PhireF
Mai Tauheed Ko Lekar Sifat e Jaam PhireF
Koh Mein Dasht Mein Lekar Tera Paighaam PhireF
Aur Maloom Hai Tujhko Kabhi Na Kaam PhireF
-
-
Dasht Tho Dasht Hain Darya Bhi Na Chode HamneE
Bahr e Zulmaat Mein Dauda Diye Ghode HamneE
-
Safha e Deher Se Baatil Ko Mitaya HumneE
Nooye Insaan Ko Gulaami Se Chudaaya HumneE
Tere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaaya HumneE
Tere Qur'an Ko Seenon Se Lagaya HumneE
-
Phirbhi Humse Ye Gila Hai Ke Wafadaar NahiG
Hum Wafadaar Nahi Tubhi Tho Dildaar NahiG
-
Ummatein Aur Bhi Hain Unmein Gunehgaar Bhi HainE
Ijz waale Bhi Hain Mast Mai Pindaar Bhi HainE
Unmein Kaahil Bhi Hain Ghaafil Bhi Hain Hoshyaar Bhi HainE
Sainkdon Hain Ke Tere Naam Se Bezaar Bhi HainE
-
Rahmatein Hain Tere Aghyaar Ke Kaashaanon ParF
Barq Girti Hai Tho Bechaare Musalmaanon ParF
-
Buth Sanam Khaanon Mein Kehte Hain Musalmaan GayeH
Hai Khushi Unko Ke Kaabe Ke Nigehbaan GayeH
Manzil e Deher Se Uonton Ke HadiKhwaan GayeH
Apne Baghlon Mein Dabaaye Huwe Quran GayeH
-
Khandazan Kufr Hai Ehsaas Tujhe Hai Ki NahiG
Apni Tauheed Ka Kuch Paas Tujhe Hai Ki NahiG
-
Ye Shikaayat Nahi Hai Unke Khazaane Ma'moorF
Nahi Mehfil Mein Jinhe Baat Bhi Karne Ka Sha'oorF
Qahr Tho Ye Hai Ke Kaafir Ko Mile Hoor o QasoorF
Aur Bechaare Musalmaan Ko Faqat Waada e HoorF
-
Ab Wo Altaaf Nahi Hampar Inaayat NahiG
Baat Yeh Kya Hai Ke Pahli Si Madarat NahiG
-
Kyun Musalmaanon Mein Hai Daulat e Duniya NayaabL
Teri Qudrat Tho Hai Woh Jiski Na Hadd Hai Na HisaabL
Tu Jo Chahe Tho Uththe Seena e Sehra Se HabaabL
Rahrawe Dasht Ho Saili Zada Mauj e SaraabL
-
Ta'in e Aghyaar Hai Ruswaai Hai Nadaari HaiG
Kya Tere Naam Pe Marne Ka Iwaz Khwari HaiG
-
Bani Aghyaar Ki Ab Chahnewaali DuniyaH
Rah Gayi Apne Liye Ek Khayaali DuniyaH
Hum Tho Ruksath Huwe Auron Ne Sambhali DuniyaH
Phir Na Kehna Huwi Tauheed Se Khaali DuniyaH
-
Hum Tho Jeete Hain Ke Duniya Mein Tera Naam RaheG
Kahin Mumkin Hai Ke Saaqi Na Rahe Jaam RaheG
-
Teri Mehfil Bhi Gayi Chahnewaale Bhi GayeH
Shab Ki Aahein Bhi Gayi Subah Ke Naale Bhi GayeH
Dil Tujhe De Bhi Gaye Apna Sila Le Bhi GayeH
Aake Baithe Bhi Na The Aur Nikaale Bhi GayeH
-
Aaye 'Ishaak Gaye Waada e Farda LekarF
Ab Unhein Dhoond Chiraagh Rukh Zaiba LekarF
-
Dard e Laila Bhi Wahi Qais Ka Pehloo Bhi WahiG
Najid Ke Dasht o Jabal Mein Ram e Aahoon Bhi WahiG
Ishq Ka Dil Bhi Wahi Husn Ka Jadoo Bhi WahiG
Ummath e Ahmad e Mursal Bhi Wahi Tu Bhi WahiG
-
Phir Ye Aazardagi Ghair e Sabab Kya MaaniE
Apne Seedaon Par Yeh Chasm e Ghazab Kya MaaniE
-
Tujhko Choda Ke Rasool e Arabi Ko ChodaE
Buthgari Pesha Kiya Buth Shikani Ko ChodaE
Ishq Ko Ishq Ki Aashaftasari Ko ChodaE
Rasm e Salman o Uwaisi Qarani Ko ChodaE
-
Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhte HainE
Zindagi Misl e Bilaal e Habashi Rakhte HainE
-
Ishq Ki Khair Wo Pehli Si Ada Bhi Na RahiG
Jadha Paimaaee Tasleem o Raza Bhi Na RahiG
Muztarib Dil Sifat e Qabl Numa Bhi Na RahiG
Aur Pabandi Aain e Wafa Bhi Na RahiG
-
Kabhi Humse Kabhi Ghairon Se Shana Saai HaiG
Baat Kehneki Nahi Tu Bhi Tho Harjaai HaiG
-
Sar e Faraan Pe Kiya Deen Ko Kaamil TuneyE
Ek Ishaare Mein Hazaaron Ke Liye Dil TuneyE
Aatish Andoz Kiya Ishq Ka Haasil TuneyE
Phoonk Di Garmi Rukhsaar Se Mehfil TuneyE
-
Aaj Kyun Seenein Hamare Sharar Aabaad NahiG
Hum Wahi Sookhta Samaan Hain Tujhe Yaad NahiG
-
Vaadi e Najd Mein Wo Shor e Salasal Na RahaG
Qais Deewana e Nazzaara e Mehmil Na RahaG
Hausle Wo Na Rahe Hum Na Rahe Dil Na RahaG
Ghar Ye Ujda Hai Ke Tu Ronak e Mehfil Na RahaG
-
Aye Khosh Aan Roz Ke Aayee Wo Basad Naaz AayeeH
Be Hijaabaana Soye Mehfil e Ma Baaz AayeeH
-
Baada Kash Ghair Hain Gulshan Mein Lab Jo BaitheI
Sunte Hain Jaam Bakaf Naghma Ku Ku BaitheI
Daur Hangaama Gulzaar Se Ek Soo BaitheI
Tere Deewane Bhi Hain Muntazir Hu BaitheI
-
Apne Parwanon Ko Phir Zauq e Khud Afrozi DeE
Barq e Dereena Ko Farmaan e Jigar Sozi DeE
-
Qaum e Awaara Anaan Taab Hai Phir Soo e HijaazK
Le Uda Bulbul e BePar Ko Mazaak e ParwaazK
Muztarab Baagh Ke Har Ghoonche Mein Hai Boo e NiyaazK
Tu Zara Ched Tho De Tashna Mazaraab Hai SaazK
-
Naghmein Be Taab Hain Taaron Se Nikalne Ke LiyeH
Toor Maztar Hai Usi Aag Mein Jalne Ke LiyeH
-
Mushkilein Ummat e Marhoom Ki Aasaan KardeE
Mor e Bemaya Ko Hamdosh e Sulaiman KardeE
Jinse Nayaab e Muhabbat Ko Phir Arzaan KardeE
Hind Ke Der e Nasheenon Ko Musalmaan KardeE
-
Juye Khoo mi Chakad Azz Hasrat Daireena MaC
Mee Tapad Naala Be Nashtar Kada Seena MaC
-
Bu e Gul Legayi Beroon e Chaman Raaz e ChamanE
Kya Qayaamat Hai Ke Khud Phool Hain Gammaz e ChamanE
Ahd e Gul Khatam Huwa Toot Gaya Saaz e ChamanE
Udgaye Daaliyon Se Zamzam e Parwaaz e ChamanE
-
Ek Bulbul Hai Ke Hai Mehwe Tarannum AbtakB
Iske Seene Mein Hai Naghmon Ka Talatun AbtakB
-
Qamariyan Shaaq e Sanobar Se Guraizaan Bhi HuweinE
Pattiyan Phool Ki Jhad Jhad Ke Pareshaan Bhi HuweinE
Wo Puraani Rawishein Baagh Ki Veeran Bhi HuweinE
Daliyan Paireen e Barg Se Uriyaan Bhi HuweinE
-
Qaid e Mausam Se Tabiat Rahi Aazaad UskiB
Kaash Gulshan Mein Samajhta Koi Fariyaad UskiB
-
Lutf Marne Mein Hai Baaki Na Maza Jeene MeinE
Kuch Maza Hai Tho Yahi Khoon e Jigar Peene MeinE
Kitne Betaab Hain Johar Mere Aaeene MeinE
Kis QadE

Allama Muhammad Iqbal



Rate:
(1)



Poem topics: , Print This Poem , Rhyme Scheme

Submit Spanish Translation
Submit German Translation
Submit French Translation


Write your comment about Shikwaa poem by Allama Muhammad Iqbal


 

Recent Interactions*

This poem was read 69 times,

This poem was added to the favorite list by 0 members,

This poem was voted by 0 members.

(* Interactions only in the last 7 days)

New Poems

Popular Poets