Kyun Ziyaankar Banu, Sood Faramosh Rahoon?
Fikr-e-Farda Na Karoon, Mehw-e-Gham-e-Dosh Rahoon?
Naal-e-Bulbul Ke Sunoon Aur Hamatan Gosh Rahoon?
Hamnawa Main Bhi Koi Gul Hoon Ke Khamosh Rahoon?

Jurr'at Aamoz Meri Taab-e-Sukhan Hai Mujhko!
Shikwa Allah Se Khakam Badhan Hai Mujhko!

Hai Baja Shewa-e-Tasleem Mein Mash'hoor Hain Hum;
Qissa-e-Dard Sunaate Hain Ke Majboor Hain Hum.
Saaz Khaamosh Hain, Fariyaad Se Maamoor Hain Hum;
Nala Aata Hai Agar Lab Pe Tho Ma'zoor Hain Hum.

Aye Khuda Shikwa-e-Arbaab-e-Wafa Bhi Sunle;

Khugar-e-Hamd Se Thoda Sa Gila Bhi Sunle.
Thi Tho Maujood Azal Se Hi Teri Zaat-e-Qadeem;
Phool Tha Zaib-e-Chaman, Par Na Pareshaan Thi Shameem.
Shart Insaaf Hai Aye Saahib-e-Althaaf-e-Ameen;
Boo-e-Gul Phailti Kis Tarha Jo Hoti Na Naseem?

Hamko Jamee'at-e-Khatir Ye Pareshaani Thi
Warna Ummat Tere Mehboob (saw) Ki, Diwaani Thi?

Hum Se Pehlay Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar;
Kaheen Masjood The Patthar Kaheen Ma'bood Shajar!
Khogar-e-Paikar-e-Mehsoos Thi Insaan Ki Nazar;
Maanta Phir Koi Un-Dekhe Khuda Ko Kyun Kar??

Tujh Ko Maloom Hai Leta Tha Koi Naam Tera?
Quwwat-e-Baazo-e-Muslim Nai Kiya Kaam Tera!

Bas Rahe The Yaheen Saljooq Bhi, Toorani Bhi;
Ahl-e-Cheen, Cheen Mein, Iran Mein Sasani Bhi.
Isi Ma'moor Mein Aabaad The Yunaani Bhi;
Isi Dunya Mein Yahoodi Bhi The Nasrani Bhi.

Par Tere Naam Pe Talwaar Uthaii Kiss Ne?
Baat Jo Bigdi Huwi Thi, Wo Banaii Kiss Ne?

The Hameen Ek Tere Ma'ar Ke Aaraoon Mein;
Khushkiyon Mein Kabhi Ladte, Kabhi Daryaaon Mein.
Di Azaanein Kabhi Europe Ke Kaleesawon Mein;
Kabhi Africa Ke Tapte Huwe Sehrawon Mein.

Shaan Aankhon Mein Na Jajti Thi Jahaandaaron Ki;
Kalma Padhte The Hum Chaaun Mein Talwaaron Ki.

Ham Jo Jeete The Tho Jangon Ki Museebat Ke Liye
Aur Marte The Tere Naam Ki Azmath Ke Liye
Thi Na Kuch Taigh Zani Apni Hukoomat Ke Liye
Sarbakaf Phirte The KyaDeher Mein Daulat Ke Liye?

Qaum Apni Jo Zar-o-Maal-e-Jahaan Par Marti
Buth Faroshi Ke Iwaz Buth Shikani Kyun Karti?

Tal Na Sakte The Agar Jung Mein Ad Jaate The
Paaun Sheron Ke bhi Maindaan Se Ukhad Jaate The
Tujh Se Sarkash Huwa Koi Tho Bigad Jaate The
Taigh Kya Cheez Hai Hum Toup Se Ladh Jaate The

Naqsh Tauheed Ka Har Dil Pe Bithaaya Hum Ne
Zer-e-Khanjar Bhi Ye Paighaam Sunaaya Hum Ne

Tuhi Kehde Ke Ukhaada Dar-e-Khaibar Kisne?
Sheher Qaisar Ka Jo Tha Usko Kiya Sar Kisne?
Todey Makhlooq-e-Khudawand Ke Paikar Kisne?
Kaat Kar Rakh Diye Kuffaar Ke LAshkar Kisne?

Kisne Thanda Kiya Aatishkada-e-Iraan Ko?
Kisne Phir Zinda Kiya Tazkira-e-Yazdaan Ko?

Kaunsi Qaum Faqat Teri Talabgaar Huwi?
Aur Tere Liye Zehmatkash-e-Paikaar Huwi?
Kiski Shamsheer Jahangeer-e-Jahandaar Huwi?
Kiski Takbeer Se Duniya Teri Bedaar Huwi?

Kiski Haibat Se Sanam Sehme Huwe Rehte The?
Muh Ke Bal Girke 'Huwallahu Ahad' Kehte The?

Agaya 'Ain Ladaai Mein Agar Waqt-e-Namaz
Qibla Roo Hoke Zameen Bose Huwi Qaum-e-Hijaaz
Ek Hi Saff Mein Khade Hogaya Mehmood-o-Ayaaz
Na Koi Banda Raha Aur Na Koi Banda Nawaaz

Banda-o-Sahab-o-Mohtaaj-o-Ghani Ek Huwe
Tere Sarkaar Mein Pahunche Tho Sabhi Ek Huwe

Mehfil-e-Kaun-o-Makaan Mein Sahar-o-Shaam Phire
Mai Tauheed Ko Lekar Sifat-e-Jaam Phire
Koh Mein Dasht Mein Lekar Tera Paighaam Phire
Aur Maloom Hai Tujhko Kabhi Na-Kaam Phire?

Dasht Tho Dasht Hain Darya Bhi Na Chode Hamne
Bahr-e-Zulmaat Mein Dauda Diye Ghode Hamne

Safha-e-Deher Se Baatil Ko Mitaya Humne
Nooye Insaan Ko Gulaami Se Chudaaya Humne
Tere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaaya Humne
Tere Qur'an Ko Seenon Se Lagaya Humne

Phirbhi Humse Ye Gila Hai Ke Wafadaar Nahi
Hum Wafadaar Nahi Tubhi Tho Dildaar Nahi

Ummatein Aur Bhi Hain Unmein Gunehgaar Bhi Hain
Ijz-waale Bhi Hain, Mast Mai Pindaar Bhi Hain
Unmein Kaahil Bhi Hain Ghaafil Bhi Hain Hoshyaar Bhi Hain
Sainkdon Hain Ke Tere Naam Se Bezaar Bhi Hain

Rahmatein Hain Tere Aghyaar Ke Kaashaanon Par
Barq Girti Hai Tho Bechaare Musalmaanon Par!

Buth-Sanam Khaanon Mein Kehte Hain, Musalmaan Gaye
Hai Khushi Unko Ke Kaabe Ke Nigehbaan Gaye
Manzil-e-Deher Se Uonton Ke HadiKhwaan Gaye
Apne Baghlon Mein Dabaaye Huwe Quran Gaye

Khandazan Kufr Hai, Ehsaas Tujhe Hai Ki Nahi?
Apni Tauheed Ka Kuch Paas Tujhe Hai Ki Nahi?

Ye Shikaayat Nahi Hai Unke Khazaane Ma'moor
Nahi Mehfil Mein Jinhe Baat Bhi Karne Ka Sha'oor
Qahr Tho Ye Hai Ke Kaafir Ko Mile Hoor-o-Qasoor
Aur Bechaare Musalmaan Ko Faqat Waada-e-Hoor

Ab Wo Altaaf Nahi Hampar Inaayat Nahi
Baat Yeh Kya Hai Ke Pahli Si Madarat Nahi?

Kyun Musalmaanon Mein Hai Daulat-e-Duniya Nayaab
Teri Qudrat Tho Hai Woh Jiski Na Hadd Hai Na Hisaab
Tu Jo Chahe Tho Uththe Seena-e-Sehra Se Habaab
Rahrawe Dasht Ho Saili Zada Mauj-e-Saraab

Ta'in-e-Aghyaar Hai, Ruswaai Hai, Nadaari Hai
Kya Tere Naam Pe Marne Ka Iwaz Khwari Hai?

Bani Aghyaar Ki Ab Chahnewaali Duniya
Rah Gayi Apne Liye Ek Khayaali Duniya
Hum Tho Ruksath Huwe, Auron Ne Sambhali Duniya
Phir Na Kehna Huwi Tauheed Se Khaali Duniya

Hum Tho Jeete Hain Ke Duniya Mein Tera Naam Rahe
Kahin Mumkin Hai Ke Saaqi Na Rahe Jaam Rahe?

Teri Mehfil Bhi Gayi Chahnewaale Bhi Gaye
Shab Ki Aahein Bhi Gayi, Subah Ke Naale Bhi Gaye
Dil Tujhe De Bhi Gaye, Apna Sila Le Bhi Gaye
Aake Baithe Bhi Na The Aur Nikaale Bhi Gaye

Aaye 'Ishaak! Gaye Waada-e-Farda Lekar
Ab Unhein Dhoond Chiraagh Rukh Zaiba Lekar

Dard-e-Laila Bhi Wahi, Qais Ka Pehloo Bhi Wahi
Najid Ke Dasht-o-Jabal Mein Ram-e-Aahoon Bhi Wahi
Ishq Ka Dil Bhi Wahi, Husn Ka Jadoo Bhi Wahi
Ummath-e-Ahmad-e-Mursal Bhi Wahi Tu Bhi Wahi

Phir Ye Aazardagi Ghair-e-Sabab Kya Maani?
Apne Seedaon Par Yeh Chasm-e-Ghazab Kya Maani?

Tujhko Choda Ke Rasool-e-Arabi Ko Choda?
Buthgari Pesha Kiya? Buth-Shikani Ko Choda?
Ishq Ko, Ishq Ki Aashaftasari Ko Choda?
Rasm-e-Salman-o-Uwaisi Qarani Ko Choda?

Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhte Hain
Zindagi Misl-e-Bilaal-e-Habashi Rakhte Hain

Ishq Ki Khair, Wo Pehli Si Ada Bhi Na Rahi
Jadha Paimaaee Tasleem-o-Raza Bhi Na Rahi
Muztarib Dil Sifat-e-Qabl Numa Bhi Na Rahi
Aur Pabandi Aain-e-Wafa Bhi Na Rahi

Kabhi Humse Kabhi Ghairon Se Shana-Saai Hai
Baat Kehneki Nahi Tu Bhi Tho Harjaai Hai

Sar-e-Faraan Pe Kiya Deen Ko Kaamil Tuney
Ek Ishaare Mein Hazaaron Ke Liye Dil Tuney
Aatish Andoz Kiya Ishq Ka Haasil Tuney
Phoonk Di Garmi Rukhsaar Se Mehfil Tuney

Aaj Kyun Seenein Hamare Sharar Aabaad Nahi?
Hum Wahi Sookhta Samaan Hain Tujhe Yaad Nahi?

Vaadi-e-Najd Mein Wo Shor-e-Salasal Na Raha
Qais Deewana-e-Nazzaara-e-Mehmil Na Raha
Hausle Wo Na Rahe, Hum Na Rahe, Dil Na Raha
Ghar Ye Ujda Hai Ke, Tu Ronak-e-Mehfil Na Raha

Aye Khosh Aan Roz Ke Aayee Wo Basad Naaz Aayee
Be Hijaabaana Soye Mehfil-e-Ma-Baaz Aayee

Baada-Kash Ghair Hain, Gulshan Mein Lab Jo Baithe
Sunte Hain Jaam Bakaf Naghma Ku-Ku Baithe
Daur Hangaama Gulzaar Se Ek-Soo Baithe
Tere Deewane Bhi Hain Muntazir Hu Baithe

Apne Parwanon Ko Phir Zauq-e-Khud Afrozi De
Barq-e-Dereena Ko Farmaan-e-Jigar Sozi De

Qaum-e-Awaara Anaan Taab Hai Phir Soo-e-Hijaaz
Le Uda Bulbul-e-BePar Ko Mazaak-e-Parwaaz
Muztarab Baagh Ke Har Ghoonche Mein Hai Boo-e-Niyaaz
Tu Zara Ched Tho De Tashna Mazaraab Hai Saaz

Naghmein Be-Taab Hain Taaron Se Nikalne Ke Liye
Toor Maztar Hai Usi Aag Mein Jalne Ke Liye

Mushkilein Ummat-e-Marhoom Ki Aasaan Karde
Mor-e-Bemaya Ko Hamdosh-e-Sulaiman Karde
Jinse Nayaab-e-Muhabbat Ko Phir Arzaan Karde
Hind Ke Der-e-Nasheenon Ko Musalmaan Karde

Juye Khoo-mi Chakad Azz Hasrat Daireena Ma
Mee Tapad Naala Be-Nashtar Kada Seena Ma

Bu-e-Gul Legayi Beroon-e-Chaman Raaz-e-Chaman
Kya Qayaamat Hai Ke Khud Phool Hain Gammaz-e-Chaman
Ahd-e-Gul Khatam Huwa, Toot Gaya Saaz-e-Chaman
Udgaye Daaliyon Se Zamzam-e-Parwaaz-e-Chaman

Ek Bulbul Hai Ke Hai Mehwe Tarannum Abtak
Iske Seene Mein Hai Naghmon Ka Talatun Abtak

Qamariyan Shaaq-e-Sanobar Se Guraizaan Bhi Huwein
Pattiyan Phool Ki Jhad Jhad Ke Pareshaan Bhi Huwein
Wo Puraani Rawishein Baagh Ki Veeran Bhi Huwein
Daliyan Paireen-e-Barg Se Uriyaan Bhi Huwein

Qaid-e-Mausam Se Tabiat Rahi Aazaad Uski
Kaash Gulshan Mein Samajhta Koi Fariyaad Uski

Lutf Marne Mein Hai Baaki, Na Maza Jeene Mein
Kuch Maza Hai Tho Yahi, Khoon-e-Jigar Peene Mein
Kitne Betaab Hain Johar Mere Aaeene Mein
Kis Qad