Kar paunga ya nhi
Socha bahut par dar lagta hai
Ki kar paunga ya nhi
Aashaye bahut hai par dar lagta hai
Ki pura kar paunga ya nhi
Himmat hai, apno ka sath hai aur thoda wishwas bhi hai par dar lagta hai
Sabki umeedo pe khara
utar paunga ki nhi

Har subah maala japta hu
Har Devi Devta ka Naam leta hu
Har totka or thoda jugaad bhi try karta hu
Par jab bhi mummy Papa ki icchao me, unke labz se nikali har duao me apna Naam sunta hu to dar lagta hai
Ki in aankho Ko wo Khushi
de paunga ya nhi

Kaise karu, kya Karu, ye Karu ya wo Karu, usne jaisa Kia waisa Karu ya khudse se kuch Karu
Har raat isi khyal me kata karta hu par dar lagta hai subah uthunga to jo socha hai wo pura kar paunga ya nhi

Mummy har din kissa sunati hai
pados ke ladke ka gungaangaati hai
par samajh nhi pati hai ki unke laal pe kya biti jaati hai
Aur darta hu tab jab mummy waisa hi mujhse karne ki aas lagati hai
Papa roj kaam se aate hai
aur ek hi sawal puchte hai
Beta padhai sahi se ho pati hai
Koi taklif koi problem aati hai
Par kaise batau unko problem hai
aur aisi hai jo samajh me to aati hai
par kisiko samjhai nhi ja pati hai
Bas yahi aake ghabrata hu
Ki in sawaalo Ke jawaab
main de paunga ya nhi

Ek sawal fir aur panapta hai
Jo me Safal ho gaya ek Baar
Phir aage aur jyada kar paunga ya nhi
Phir aage kar paunga waisa ya nhi
khudko har dodh me sabit kar paunga ya nhi

Ek baat yahi samajh me aai mujhe ab tak
Ki Darr Darr me dodh toh jaunga Abhi
Logo ki umeed puri karne bahut kuch kar jaunga Abhi
Par jo khushiyan chodh Raha Abhi
Jo waqt me padhai ke sath baat Raha Abhi
Kya me fir kabhi ud paunga ya nhi
Kya me kabhi befikr muskura paunga ya nhi
Kya Wahi Masti ki dod Laga paunga ya nhi
Kya kabhi iss ghutan bhri jindagi me ek chain ki saas le paunga ya nhi
Le paunga ya nhi
Kar paunga ya nhi