Yu aksar chala krta hu
me raste me

Koi milta hai
Koi mitti me pani ki bundo ki
tarah hriday me sma jata hai
Kisi ki adaye ram jati hai
Kisi ki muhbat bhi nhi ramti
Ons ki tarah hu me
Kafi koshish ki thamne ki ghas me
Par tham nhi paya
Kyu ki dhoop aate hi
Hawa me ghul jati hai
ons ki bunde
Vaisa hu me
Phir mera pta hoga na khabar
Kyuki me bekhbar hu duniya ke mele se
Me janta nhi duniya me kisi ko
Shayad logo ko mere shabdo ki sarthakta najar na aaye
Par yado me apnapan dikha dena
Ons ki bund ki tarah har din aao ga
Usi tarah aata jata rhuga
Kabhi man kbhi hriday yad aata rhuga
Agar sanjo sako sanjo lena
Nhi to bundo me
vashp ban ke chala jaoga

Ons ki bund ki tarah hu me