Is dil ne jab bhi kuch likhna chaha,
Yaad bas ek tera woh masum sa chehra aya,
Kya likhun tere naal,
is dil ko kuch samajh naa aya.

Tu to bas ek khud me chupa hua raaj tha,
Jise laakh kosis ker mein padh naa payi.
Kuch pal jo bitaye the tere sang, woh aaj bhi bhula naa payi.

Aaj bhi yaad ati hai tere diye huye her derd ki kahani,
Jisse sabse chupa ker raat me kabhi ro liya kerti hun,
Aur phir subha uth sab bhula ker muskuraliya kerti hun.

Tu woh derd bhari yaad hai jo chupke se milta hai kabhi sapnon mein mere,
Aur phir subha uth ker dhundti hun nishaan tere.

Bhool jaati hun kabhi kabhi tere diye huye woh jakhmon ki kahani,
Woh adhoori kahani jo adhoori hi rahegi,
Woh humesha tujhse baatein kerne wali ankhen ab kuch na kahegi.

AB KUCH NA KAHEGI.