kitni pi kaise kati rat mujhe hosh nahin
rat k sath gai bat mujhe hosh nahin

mujh ko ye bhi nahin malum k jana hai kahan
tham le koi mera hath mujhe hosh nahin

anson aur sharabon mein guzri hai ab to
main ne kab dekhi thi barsat mujhe hosh nahin

jane kya tuta hai paimana k dil hai mera
bikhre bikhre hain khayalat mujhe hosh nahin