Zindagi ne bahut kuch sikhaya, parayon ko apna aur apno ko paraya banaya.

Khush rehkar jeena sikhaya
Jeeke khush rehna sikhaya.

Dukh apnakar muskurana aur muskarakar agey badhna sikhaya.

Muh pe hansi aur dil mein dard rakhkar bhi hanste hanste jeena sikhaya.

Bahut ashayein thi man mein , kuch poori hui , kuch ne sath choda fir bhi is umeed se k kabhi toh sabhi sapne poore honge , ek aas rakhna sikhaya.

Bahut khush rehti thi , dukh nahi dekha tha
Zindagi ne kaha , jab tak dukh na ayenge , kuch na sikhayenge.

Samay badla , agey badhti gayi , mushkilen bahut se ayi , par paar karke unhe chodkar bahut kuch seekha.

Maa-Papa hamesha kehte the muskurana aur mehnat karna hi khushi ki punji hai , kaanon mein vahi awaz ab gunjti hai.

Kuch doston ne sath dia , kuch ne choda par maine hamesha muskurakar agey badhna nahi choda.

Kuch sochna galat nahi hai par sochkar chuchap baithna galat hai ye baat samajh mein aa gayi hai.

Ab sirf yahi khwahish hai k jahan pe ab khadi hu , usse aur agey hi badhu , peeche mudkar maine kabhi seekha nahi