Kahin na kahin to aaj bhi hai ladkai aur ladki mein bhedbhav. kisne kaha hai ki beti ki jindagi hai aasan.

Kitna bhi beti kare ghar walon ka samman. lekin sahana hai usko hanskar dukhon ka bhar. aur Dena hai har imtihan.

Jiti hai beti hai man kar ki Mata pita hai mere bhagwan.bura lagta hai jab vahi yad dilaye ki tu toh hai paraai pahchan. jaana hai tujhko dusre makan.

Jaane hai beti ki paraai hai vah tabhi Kare donon parivaron ka samman .apne dukh ko Hans kar Shahti.
Aisi is duniya mein ek beti hai mahan.

Kahin na kahin to aaj bhi hai ladkai aur ladki mein bhedbhav.