Aajkal log Bahar Valo ki nazro me uthne k liye.. Khud ko apno ki nazro me hi neeche Gira rhe hai..
Kaisa daur h ye, jaha anjaan log dusro ko Khana khila rahe hai.. or Kuch log Apne hi logo se Khana chupa rhe hai..
Kaisa kalyug h ye, jaha na bde ki ijjat Ka khyal hai.. or Umar SE chote log Apne hi ghamand me mare jaa rahe hai..
Na jaane Kaisa daur h ye, jaha log Bahar Valo ko apna or gharvalo ko paraya banate jaa rahe hai..
Kaha gya vo ram- lakshman vala pyar.. Jaha ghr ki Ekta hi unki Pehchaan hoti thi.. Or aaj k daur me log Apne se hi dur hote jaa rahe hai.. Kaisa daur h ye, jaha log apno ko hi anjaan bnate jaa rahe hai..
Bahut se ghar ki ye Kahani hogi.. Jaha log khud ko bada dikhane k liye.. Dusro ko neecha dikha rahe hai.. Kuch logo ki nazro me uthne k liye.. khud apno ki nazro me hi girte jaa rhe hai..
Kaisa kalyug hai ye, jaha log Apne hi ghamand me mare jaa rhe hai...