Pehle nazre milna..
phir muskura dena ,
muskurake thoda sa sarma dena ,
door rehta hu toh mujhpe nazre rakhna
pass aata hu toh nazre chura lena..
kya yehi hai tera tarika...
lafzoon se manna karke naa jane ,
dil se kitne baar haan kar deti hai ,
thodi se narazgi aur na jane ,
kitna pyaar chupati hai...
kis baat ka hai daar tujhai ,
mere chod dene ka ya ,
phir tere toot jane ka ,
ehsas ki ish duniya mai ,
ek chotta sa seher basayenge ,
ek bar yakeen karke toh dekh...