internetPoem.com Login

Sayed Ise Kehete Hain Pyaar

Rounak Poddar

Jhuki Jhuki Yeh Haseen si Aankhen
Hawa main Udhta Nasheele Bal
Jab maine dekha usko ekdin hua main aur bhi bekarar
Sayed peheli nazar main mujhe ho gaya pyaar

Main sarmate itrate uske paas gaya
Mere samne khadi thi ek khoobsurat si chaya
Haye kya thi uski ada kya thi uski chaal
Main to uske taraf dekhte hi ho gaya behaal

Main to Aksar khayalon mein khoya reheta tha
Na jane din raat kiske baare mein sochta tha
Kya yehi hain wo jisse karu main apni dil ki baat?
Na parwa hain mujhe chahe din ho ya raat

Maine uske aakhon mein dekha ek ajeeb sa pyaar
Haye Khuda kya tha wo ishq ya na Ikrar
Dekh kar mujhe bhi wo muskurayi halka
Jaise hawa main ek nasha sa jhalka

(C) Rounak Poddar
10/31/2019


Best Poems of Rounak Poddar