internetPoem.com Login

Womens Day

Mansu

Beti to paraya dhan h ye kah k rh jate h ek pita k yahi alfaj aulad ko ladka ya ladki banate h
Wo jo ghar me rh kr bhi dusre ghr ki amanat ho jati h papa ki pari ho kar bhi asman ko chu na pati h
Isi reet ko badlne ki sbne thani h beti beton se kam nahi ye baat dur tak pahuchani h
Phr kyun sapna apna har baar bête ne hi toda h beti to paraya dhan h ye soch k betiyon ne kyu muh moda h
Beti ne bhi kahan panah di un ma baap ko jinhe bête ne vridh asram me chhoda h
Haq ki ladai me itna dur nikal aye h ladki ladka to dur h hum insaan bananne me bhi safal nahi ho paye h
Aurat janni h neev h manav jevan ki par kya isse mard ka darja kuch kam ho jata h......................
Shyad issi liye is sanshar me sirf mahila diwas itne dhoom se manaya jata h……………

(C) Mansu
05/27/2019


Best Poems of Mansu