Han ek tarfa hi sahi magar bemisal tha na voh
Yad kar Teri ek awaaz pe aata tha na voh
Teri ek hasi ke liye joker bhi bana tha voh
Tere liye apne aap se bhi lada tha voh
Doston ke bich majak bhi bana tha voh
Tujeh kya malum kya kya sunta tha voh
Tere chakkar mai buri aadato ko pala
Varna yaar bhi kehte the sharif ka sala
Aab shikayat bhi kaise karu mai teri
Tu gunegar bhi to nahi meri
Jahil jahil jamana har roj sunata tha
Par teri har yaad ko ruh mai samata tha
Bus bahot hua
aaj bhari mehfil mai main chillata hu,
Ha tujhise jaan eek tarfa pyar mai karta hu
Bus akhir mai yahi kahunga
Mohabbat jo teri koi thukrae to dil chhota na kar,
Naseeb uska kharab hai,
Kismat ko tu apni kosa na kar.
Han ek tarfa Hi sahi magar bemisal tha na voh
Yad kar Teri ek awaaz pe aata tha na voh
-kaushik