Muashi Besabati Kaun Jane Kab Badalti He (معاشی بےثباتی کون جانے کب بدلتی ھے) - Roman Urdu Version

Muashi BeSabati Kaun Jane Kab Badalti He
Purane Freem Me Tasweer Jane Kab Badalti He

Kisi Ke Pas Lakh'oon Tu, Kisi Ke Ghar Me Faqah He
Muqaddar Ki Yeh BeJa Den Jane Kab Badalti He

Agar Insan He Meh'kuum, Tu Hakim Bhi Insaa He
Hukumat Admi Ki Admi Per, Kab Badalti He

Rauun'at Aur Takab'bur Khaki Jism'oon Per Nahi Jachta
Khuda Jane! Keh Firaon'oon Ki Halat Kab Badalti He

Jo Khud Aulad Wale He Woh Thukrate Hen Bachoon Ko
Khuda Wandaa! Tere Bandon Ki Halat Kab Badalti He

Kahen Neelam Iz'zat Ke! Khule Bandoon Bhi Hote He
Jo Halat Dhekhi Na Jaye, Woh Halat Kab Badalti He

Subha Aur Sham Ko Chehre Badal Jate Hen Logon Ke
Mere Dil Me Jo Surat He, Na Jane Kab Badalti He

Qayamat Kheez Lamhon Me Bhala Zinda Hen Kese ZEESH
Unhe Jeene Ki Adat The! Yeh Adat Kab Badalti He

Zeeshan Noor Siddiqui
(C) All Rights Reserved. Poem Submitted on 07/14/2020

Poet's note: 'Who Knows! How Long Uneven Distribution of Wealth Continues', was written to express the feeling of unevenness seen around us, as human being But The Creator Knows Reasons that We don't.
The copyright of the poems published here are belong to their poets. Internetpoem.com is a non-profit poetry portal. All information in here has been published only for educational and informational purposes.