Zindagi Ki Talaash

Sawal bhot the mere aj bhi jawab ki talaash mein hu,
Bheed mein khoyi mein zindagi ki talaash mein hu,
Bhot h apne fr bhi kisi apne ki talaash mein hu,
Uljhan mein bhi hu kisi salahkar ki talaash mein hu,
Itne baaras mein bhi m bs khudki hi talaash mein hu,
Sbki khushi k liye khoya tha jisko fr usi ladki ki talaash mein hu,
Muskura rhi hu bs khushiyon ki talaash mein hu,
Surya si ubal rhi hu ek chaand ki talaash mein hu,
Samaaj ki soch se preshaan chain ki talaash mein hu,
Haan!! Shayad mein ek khuli soch k samaj ki talaash mein hu,
Fareebiyo se bhari is duniya mein kisi sachhe ki talaash mein hu,
Kisi se umeed nhi h koi bs ab kisi apne jaise ki talaash mein hu,
Gir kr sambhal sakti hu fr b kisi sahare ki talaash mein hu,
Jee rhi hu lekin is jeevan k maksad ki talaash mein hu,
Bechain hu bhot sukoon ki talaash mein hu,
Dard mein jo mujhe rahaat de sake uski talaash mein hu,
Kehne ko bhot kuch h magar koi smjhe mujhe uski talaash mein hu,
Raah mein chal rhi hu bs ab ek manzil ki talaash mein hu,
Kisi ki jrurat to nhi h mujhe fr b kisi ki to talaash mein hu,
Ek makaan mein to hu fr kyu aj b ek ghar ki talaash mein hu,
Akeli nhi hu fr b koi aisa jo mujhe khone se dare!! M uski talaash mein hu,
M jeevan mein zindagi ki talaash mein hu

Urvashi Kashyap
(C) All Rights Reserved. Poem Submitted on 06/19/2021

Poet's note: #meaningoflife #searching #myself #randomthoughts #live #love #destiny #lifeways
The copyright of the poems published here are belong to their poets. Internetpoem.com is a non-profit poetry portal. All information in here has been published only for educational and informational purposes.