Introvert Ki Khud Se Bat.....

Tu khud se q bhaag rhi,
Khud ko q maap rhi,
Mana tu gum jati h nayi awaajo mein,
Pr Teri awaaj kafi h apne dayro mein,
Mana tu seham jati h naye kafilo mein,
Pr tu kaafi h apne jhano mein,
Mana tu badboli nhi h,
Pr tu kaafi h khud ki baato mein,
Mana tu sabko samgh nhi pati,
Pr kaafi h khud ko samghne mein
Mana tu sabke liye boring h,
Pr kaafi h khud ko hasane mein,
Mana tu friends ke gossips mein shaamil nhi ho pata,
Pr kaafi h tera khud ki udano mein shamil hona,
Mana tu sabke sath nhi chal pati,
Pr kaafi h tera khud ke sath chalna,
Maana tu sabke liye rangeen nhi h,
Pr kaafi h khud k liye hwao mein rang bnane mein.
Mana tu sbko has a nhi pati,
Pr kaafi h khud ko hasane mein,
Mana tu kisi ke liye khaas nhi h,
Pr kaafi h khud ko khud k liye khaas bnane mein,
To tum khud se q bhaag rhi,
To tum khud ko q dhaal rhi,
Tu khud mein hi puri h,
Apni hwao mein jaruri h,
Tu khaas h,
Bs tujhko nhi iska ehsaas h...

Samaya
(C) All Rights Reserved. Poem Submitted on 07/03/2019 The copyright of the poems published here are belong to their poets. Internetpoem.com is a non-profit poetry portal. All information in here has been published only for educational and informational purposes.