Meherbaan

Tumko chupaya tha mere dil mein
Soocha tha mehfooz ho har nazar se
Koi na dekhe tumko aur pehchane mujhe
Chahat bahut tha magar izhaar nakare
Waqt guzra magar hum tehre rahgaye
Tumhare intezaar mein ki tum mujhe thamoge
Mohabbat ki arzoo mein chal chale gaye hum
Tum mukargaye us waqt ab thame mujhe
Meherbaan horahe ab nazar andaaz the tab
Kyuon yaad nahi thi un paloonki eshaasgi
Tum ne jhutlaya hame aur apnaya humne
Tum ko chupaya tha mere dil mein
Soocha tha mehfooz ho mere dil mein

Rensha
(C) All Rights Reserved. Poem Submitted on 05/17/2020 The copyright of the poems published here are belong to their poets. Internetpoem.com is a non-profit poetry portal. All information in here has been published only for educational and informational purposes.